UrduShayari.org is an exclusive free service that allows you to experience Urdu Shayari in an exciting new way. We have a huge collection of shayari especially for those poetry lovers. |
Dukh dard k maron se mera zikar na karna
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna
Wo zabat na kar paen gi ankhon k samandar
Tum raah guzaron se mera zikar na karna
Pholon k nasheman me raha hon me sada se
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna
Shaid ye andhaire hi mujhe raah dikhaen
Abb chand sitaron se mera zikar na karna
Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain
Afsana nigaron semera zikar na karna
Shaid wo mere haal pe be- sakhata roo dain
Iss bar baharon se mera zikar na karna
Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar
Darya k kinaron se mera zikar na karna
Wo shakhs mile to use har bat batana
Tum sirf isharon se mera zikar na karna
Ik Khalish Ko Haasil E Umr E-Ravaan Rahane Diyaa
Jaan Kar Ham Ne Unhen Naameharabaan Rahane Diyaa
Kitanii Diivaaron Ke Saaye Haath Phailaate Rahe
Ishq Ne Lekin Hamen Bekhvaanamaan Rahane Diyaa
Apane Apane Hausale Apanii Talab Kii Baat Hai
Chun Liyaa Hamne Unhen Saaraa Jahaan Rahane Diyaa
Ye Bhii Kyaa Jiine Mein Jiinaa Hai Bagair Un Ke “Adeeb”
Shama Gul Kar Dii Gaii Baaqii Dhuaan Rahane Diyaa
Apni khushian luta kar us pe qurban ho jaon,
Kash kuch din us shehar mein mehman ho jaon,
Wo apna nayab dil mujh ko de de aur phir mange,
Main mukar jaon aur be-imaan ho jaon,
Wo mujh pe sitam kare har kisi ki tarha,
Main is ada par bhi meharban ho jaon,
Wo mere paon k neeche se zameen khainch le,
Aur phir main us ka aasman ho jaon,
Ab tou mujhe itni muhabat ho gai hai us se k,
Khuda koi mojzaa kare aur main us k naam ho jaon.
Tum se Bohut Kuch
Kehna Hai Magar,
Kabhi Tum Nahi Milte
Kabhi Alfaz Nahi Milte,
Ye Doriyan Tu Mita Doon Mein
Ek Pal Mein Magar,
Kabhi Kadam Nahi Chalte
Tu Kabhi Raste Nahi Milte,
Tumhen Pana Chahta Hoon
Umar Bhar Ke Liye Magar,
Kabhi Halat Nahi milte
Tu Kabhi Jazbat Nahi milte!!
Haalat E Ghamo Ka Afsana Kaha Hai
Mere Dil Ke Dard Ki Davaa Kaha Hai
Bahut Zakhm Khaaye Hai Maine Zindagi Se
Ab Kya Jeeye Masroor Mere Maut Ka Samaan Kaha Hai
Roz Woh Hi Mulaqaate Bhi Achhi Nahin Lagti
Koi Nayi Tasveer Ka Aaina Kaha Hai
Sooraj Roz Dhalta Hai Apne Waqt Par
Mere Chand Ka Ghar Kaha Hai
Nikal Padta Hoon Bheed Mein Sabhi Ke Saath
Aakhir Main Mera Raasta Kaha Hai..
Kuch is terha guzarti ab, humaari har shaam hai,
Ek haath tasveer unki to, aik haath jaam hai!
Bekar hai yad deelana, ke shaye ye haram hai,
Sab kuch bhul jate hai, jab koi leta unka nam hai!
Hum to yehi kahenge, Mai be-wajah badnaam hai,
Dard-e-dil se humko to, pahunchaati ye araam hai!
Tawah karti hai sarab, galat is par ilzam hai,
Madadgar ka badnam hona to, kudarat ka nizam hai!
Hum ghamkhaaron ka mai ko, Tah-e-dil se salaam hai,
Bina iske to khudaa jaane, kya humara anjaam hai!
Aafat Ki Shokhiyan Hain Tumhari Nigaah Mein
Mehshar K Fitnay Khailtay Hain Jalwa-Gaah Mein
Woh Dushmani Se Dekhtay Hain Dekhtay To Hain
Main Shaad Hon, K Hon To Kisi Ki Nigaah Mein
Aati Baat Baat Mujhey Yaad Baar Baar
Kehta Hon Dor Dor K Qasid Se Raah Mein
Is Taubaah Par Hai Naaz Mujhey Zaahid Is Qadar
Jo Toot Kar Shareek Hon Haal-e-Tabah Mein
Mushtaq Is Ada K Buhat Dard-Mand Thay
Ae “DAAG” Tum To Baith Gaye Ek Aah Mein
Haraa Hai Abhi Zakhm-E-Taalluq Dil Ka
Gire Jo Sailaab-E-Lahoo-E-Ashq Daman Pe Mera
Dekhi Ek Woh Zalak Unki Andaaz-E-Tabassum Liye
Uske Altaaf Ka Mafhoom Hum Pyar Ka Andaz Jo Samaje
Tamanna-E-Dil Woh Milae Muje Safar Mein Kahin
Chahe Milae Muje ‘Sheikh’ Woh Bewafa Bankar Hi Sahi…
Kabhi Kisi Ko Apne Kareeb Na Aane Dena,
Gar Koi Aaye To Use Door Na Jaane Dena,
Gar Phir Bhi Wo Door Chala Jaaye,
Aur Dil Tumhara Sambhal Na Paaye,
To Use Samjhane Ke Liye,
Dil Ko Apne Behalaane Ke Liye,
Koi Jhuta Bahaana Bana Dena,
Aur Phir Kabhi Kisi Ko Kareeb Na Aane Dena
Suno Tum Maan Jao Na
Hamay Ab Yun Satao Na
Tumharay Bin Hamay Jena
Gawara Ab Nahi Hota
Tumhay Kaisay Kahun Tum Bin
Guzara Ab Nahi Hota
Hamay Apna Bana Lo Tum
Tumhara Ban K Rehna Hai
Mujhe Dukh Hijar Ka Janum
Nahi Ab Or Sehna Hai
Kayi Sapnay Sajaey Hain
Ab In Me Rang Bhar Do Na
Tumhay Meri Kasam Jannah
Tum Meray Sang Chal Do Na
Mujhay Ab Aur Rulao Na
Suno Tum Maan Jao Na